baris mein yehi sab socha karte hain ..
ki sab kuchh tham pad jaye ,
thake thake se hain jo hum , bas sukoon kahin mil jaye ..
bas yuhin kahin mann karta hai
chalte chalte ruk jaun..
bekhabar baris kabhi barse
to us paani mein bhig jaun
bahut thaka thaka sa lag raha hai
un bhagte hue raaho pe kahin baith jaun ..
ki kabhi bhigte waqt darr na ho
bachpan ki tarah wo din firse ho
jab joote hote the haath mein
baris mein nange paun chalte
patton se khelte
kagaz ki nav chalate
chatri pakad kar udne ki kosis karte
matti mein kudd te
kachhi sadak par yun kudna
kyun kho si gai hai wo sab baatein ..
Kahan pe aa gain hai yeh sab haalatein ...
dosti ke liye cell phone ki jarurat hai ...
dil ki baatein batanane ke liye Facebook ki jarurat hai ...
Mummy ko Love u kehne ke liye reason ki jarurat hai ..
to hasne ke liye pagalpan ki jarurat hai ...
motorcycle ki vroom vroom mein chalti apni saasein hai ..
baris mein kya bolun ab , yehi meri saathi hai ...
Kahin chai ke dukan pe ruk kar ,chai pete hue ,baris mein yehi sab socha karte hain ..
I love the way you have poured out your thoughts.
ReplyDeleteWriting is not easy, specially when they are your inner feelings. :)
Rain has so so many of good memories as a kid. We worry too much when we are grown up but so free and open while being kid and best enjoyed these time that time.
Colorful raincoats, umbrellas, cycling, wet shoes and wet you. :)
school mein khoob maza karte the, geele jute sukhate the aur teacher absent hone par masti. Kayi baar copy, kitabein geele ho jati thi to bada maza aata tha. Kisi baat ki fikra nahin, kuch nei. Wah kya din the woh.
Ab bhi main kabhi kabhi bachi ban jati hun jab beegne ka mann karta hai. ya toh gaadi chalate waqt ya yuhin ghar ki chhat par. :
I'm glad this writing did remind u of your childhood days :)
Deleteawwwwwww..love it...:)
ReplyDeletebaarish mein yahi sab socha karte hain,
ReplyDeleteyakeenan yahi ...
Barish ke yadein hi kuch aisi hoti hain...mast hai!
ReplyDeleteNice description UB. Realistic poetry, specially the comparison. Lovet it
ReplyDelete